Tuesday, June 1, 2010

Kyun, Bhul Gaye Na...???

Note: All words in italics are in English

English ka grammar sambhalte sambhalte,
Hindi ka vyakran bhul gaye,

Momos ke chakkar me,
Kachche aam ka swad bhul gaye,

Marsh-mellows khate khate,
Ek rupaye ka pepsi-cola bhul gaye,

Fly-over chadhte chadhte,
Khet ki pug-dandi bhul gaye,

Girlfriend se baatein karte karte,
Kitabein padhna bhul gaye,

TV dekhte dekhte,
Gilli-danda khelna bhul gaye,

Politics me ulajh kar,
Tom n Jerry bhul gaye,

AC ki thandak me,
Pedon ki chaav bhul gaye,

Iss naukri ke chakkar me,
Naye dost banana bhul gaye,

Paise kamane ke nashe me,
Chain se sona bhul gaye,

Responsibilities ke bojh tale,
Barish me bheegna bhul gaye,

Badi gaadi, Bade ghar ki chaah me,
Rishto ki ehmiyat bhul gaye,

Lagta hai jaise Zindagi ki bhaag-daud me,
Hum Jeena bhul gaye…..

Kyun, bhul gaye na??
-- Macky